;  semi colan
:  colan
!  sign of exclamation
-  hyphen
( ) parenthesis
@ allas
. full stop
= is equals to
[] big brackets
p.s past script
{} braces
* asterisk
" quoterisk
& ampersand

FACEBOOK ACOUNT KO PERMANENT DELETE KAISE KARE


facbook acount permanent delete kaise kerte hai. janne ke liye diye gaye steps ko follw keriye.

sabse phele aap apna facebook acount login ker lijiye. uske baad aap aero pe clik keriye niche imege me dekhe.


yha aap ko help per clik kerna hai . ab aapke saamne ek sarch box khulega. niche imege dekhe.


ab aapko sarch box me delete my acount daal ker sarch kerna .ap nich kuch option aayenge . aapko phele wale option what's the differerence between deactivating and deleteing my acount? ko open kare. niche imege dekhe.


ab aap permanently delete acount per clik kare .ab aapke saamne ek new window open hogi . niche imege dekhe.


yha aapko let us now per clik kerna hai.

ab aapke saamne ek pop up window open hogi jaisa uper imege me hai . ab aap delete my acount per clik kare . clik kerne pe aapke saamne ek window open hogi niche imege dekhe.


yha aapse aapka password pucha jayega or ek simple sa imege task pucha jayega .apna password daal de or task pura karke enter ker de.


ab jo pop up window khulegi uspe ok ker de . bas ho gya aapka facbook acount permanent delete. ab agar aap 14 days me apna acount kholenge to khul jayega . nhi to 14 day baad aapka acount delete ho jayega.


APNE ANDROID PHONE ME CHALYE 2 WHATS APP OR KOI BHI APP JO AAP 2 BAR INSTALL KERNA CHATE HAI.


 ek phone pe kaise chalye 2 whats app ye sabal bhut log puchte hai. aaj mai aapko asi trick bataunga jise aap whats app hi nhi balki jo bhi app aap apne android phone me 2 bar install kerna chate hai wo bhi app ker sakte hai. aaiye jante hai kaise.

sabse phele aapko gogle play store se ek app downlode kerni hogi parallel space downlode kerne ke liye clik kare. 

yhe aap aap ke phone me jo bhi apps hoti hai unka ek clone app bna deti hai. jiski madad se aap kisi bhi app ka clone app bna sakte hai or multi accounts ka maza le sakte hai

ab app install hone ke baad parallel space ko open kare.niche imege me dekhe





open kerne per aap ke phone me jo bhi apps hai wo show hone lagengi . isme je jis app ka bhi app ko clone app banana chate hai wo selet ker lijiye. jaise maine whats app ko selete kiya hai niche imege dekhe



ab app whats app ko apne dusre no se register ker sakte hai. ab mai apne phone me 2 whats app chala skata hu niche imege dekhe.





KYA HOTA HAI BROWSER ME INCOGNITO MODE



INCOGNITO browser ka ek fetcher hota hai jo ki hume gupt tarike se browsing kerne ki subhida deta hai. incognito mode me browsinge kerne ka fayeda tab hota hai jab aap nhi chate hai ki aap jo bhi work kare uski history koi na dekhe kyuki incognito mode me browsing kerne se kuch cheze save nhi hoti . jaise browsing history , search history or cookies . ye cheze kable aapke browser history me save nhi hoti per ips (internet servise provide) ko iski puri jankari rheti hai.
lekin incognito mode me jo aap downlode kete hai . ya fir koi bookmark banaya hai wo save rheta hai.



EK BROWSER PE KAISE KHOLE 2 FACBOOK ACOUNT OR 2 GMAIL ACOUNT


hello friends aaj mai aapko bataunga ki ek browser pe two facbook or two gmail acount kaise khole . aap ek hi browser pe ek saath 2 facebook acount or 2 gmail acount bhi khol sakte hai to aaiye jante hai kaise.

sabse phele aap apna browser open kare. ab apne browser pe facbook login ker lijiye.
ab aapke ek fb acount to open ho gya hai.

ab dusra facebook acount open kerne ke liye aap apne browser pe right clik keriye. niche imege dekhe.



right clik kerne pe aapko ek option dikhega ( new incognito window ) uspe clik keriye . ab aapke saamne ek new window khulegi .niche imege dekhiye.




bas ab aap isper apna dusra facebook acount ya gmail acount login ker sakte hai.
ye bhi pade browser me kya hota hai incognito mode

KYA AAPKE ANDROID PHONE KI SOFT KEYS KAAM NHI KER RAHI HAI TO BANAYE APNI SOFT KEYS



kai bar asa hota hai ki humara phone girne ya bhegne se phone ki soft keys bi kharab ho jati hai or kaam kerna band ker deti hai.jise hume apna phon shi kerna padta hai or usme acha khasa paisa jata hai. agar aap phone shi nhi kerana chate hai to aap  khud apni soft key bhi screen pe set kerke use ker sakte hai 
bas ek app downlode kerke.

* sabse phele aap play store se back button app downlode ker lijiye. downlode kerne ke liye clik kare back button .

ab aap back button app ko open kare niche imege me dekhe

ab aap phone ki settings me accessibility me jaker back button ko on ker dijiye niche imege dekhe.



bas back button on kerte hi aapki screen pe soft keys lag jayengi.


aap in soft key ko back button app kholker apne hisab se se set ker sakte hai jaise inka size , coulor  etc. aap ager isme se back key ya home key or resent key me se jo margi ho kable wo bhi lga sakte hai. 

KYA AAP KE COMPUTER KI SCREEN ULTI HO GAI HAI TO ASE THEEK KARE





kabhi kabhi kaam kerte kerte humare computer ki screen ulti ho jati hai. use ase theek kare. diye hue step follw kare.

apne keyword me CTRL + ALT ek sath daba ker arrow key ka use kare




 ctrl + alt ke sath ye key dawane per aapki screen sidhi (landscape) ho jyegi.

 
ctrl + alt ke sath is key ko dawne per screen ulti (landscape )flipped ho jyegi.

 
ctrl + alt ke sath is key ko dabane per screen (portrait flipped) ho jayegi.

 
ctrl + alt ke sath is key ko dawane per screen (portrait) ho jayegi.

ctrl + alt + arrow key ka use kerke screen ko kisi bi angl me ghuma sakte hai






LOGON SCREEN BACKGROUND KAISE CHANGE KARE WINDOWS 7


hello friends aaj mai aapko bataunga ki computer me logon screen background kaise change karte hai. ye trick window 7 ke liye hai. diye gaye steps ko dhyan se padh ke fowllo kare.

* sabse phele aap start buttun pe clik kare. or sarch bar me regedit type kare. niche imege dekhiye.


ab regedit ko open kare . niche imege dekhe 


yha aapko kuch option dikhai denge. ab aap HKEY LOCAL MACHINE per right clik keriye niche imege dekhe.


yha aap find pe clik kerenge to ek window kulegi nice imege dekhe.


isme aapko OEMBackground likh ker find Next kerna hai hai.
ab aapke samne ek option aayega niche imege dekhe.


ab aapko ise open kerna hai. open kerne per ek window khulegi niche imege dekhe


yha aapko 0 hta ker 1 likhe ke ok kerna hai hai. niche imege dekhe.


bas ok kerne ke baad aap regedit ko band ker dijiye.

ab aap dobara start me jaker sarch box me 

%windir%\System32\oobe

ye code type kerke sarch kare niche imege dekhe.


ab is folder ko open keriye. niche imege dekhiye.


ab aap is folder me ek new folder banaiye info name ka . niche imege dekhe.

ab aap info folder ko open kare or usme ek folder or banaye ba backgrounds name ka 


folder ka path is trha hona cahiye jaisa uper imege me hai.

ab aap jis imege ko logon background me lgana chate hai use copy kerke backgrounds folder me copy ker de.

NOTE:- 
*imege ka name rename kerke backgroundDefault ker de.
*imege jpg format me hona cahiye.
*imege ka size 256 kb se kam hona cahiye

bas ab aap imege ko backgrounds folder me copy ker de niche imege dekhe.


bas ab aap sab kuch band ker dijiye or apne computer ko log off  (window key + L) kerke chak ker lijiye aapka logon screen backgroun change ho gya.
niche imege dekhe


agar aapko koi problem aaye to comment keriye.

thnk you

FACEBOOK PE COLOURED POST KAISE LIKHE



aaj mai aapko batauga ki facbook pe coloured post kaise likhe jaise maine uper imege me likha hai ye aap jis colour se chaye us se likh sakte hai.

iske liye aapko jyda kuch nhi kerna bas kuch codes apne post ke phele lgana.
aap niche diye gaye code ke bad jo kuch bhi likhenge wo coloured ho jayega
NOTE  :- code me (+) sign delete kar dena hai
fir pure code ke bad Jo bhi likhenge colorful ho jayega
agar aap background colour change kerna chate hai hai to
(fg) ke jagha per (bg) likhenge to aapke font ka background colour change ho jayega
fg font colour ke liye hota hai
or
bg background colour ke liye
.

<+fg=b0ffd700> golden
<+fg=b0000000> black
<+fg=b0ff7f00> orange
<+fg=b0ffff00> yellow
<+fg=b0ff00ff> light pink
<+fg=b0ff007f> dark pink
<+fg=b0ff0000> redish pink
<+fg=b0800000> brown
<+fg=b0ffc0cb> light purple
<+fg=b06f00ff> dark blue
<+fg=b0c0c0c0> grey
<+fg=80ffffff> sky blue
<+fg=b000ffff> light blue
<+fg=b0bf00ff> purple
<+fg=b08f00ff> dark purple
<+fg=b0808000> mehandi green
<+fg=b0ba55d3> light purple
<+fg=b0f000f0> majenta
<+fg=b00000ff> blue
<+fg=b0b08080> steel grey
<+fg=b0000080> movve
<+fg=b0964b00> light brown
<+fg=f0f00f0f> red
<+fg=b000ff00> green

agar aapko koi prooblem aaye to comment me puch sakte hai 

thank you

.

LAPTOP ME WIFI HOTSPOT KAISE ON KARE


aaj mai aapko bataunga ki laptop me wifi hotspot kaise on kare .aap sabhi mobile me to hotspot use kiya hi hoga dusro ko internet share kerane ke liye ya apne laptop pe net chalane ke liye. per kya aapne laptop me hotspot on kerke apne mobile ya laptop me net chlaya hai .iska istmal wo log ker sakte hai jo modam lga ke apne laptop me net chalte hai. modam se kable aapke laptop me hi net chalta hai .per aap apne laptop ka hotspot on kerke apna wifi hotspot bna sakte hai to aaiye jante hai kaise.

laptop me aapne command prompt ke baare me to aapne suna hi hoga or use bi kiya hoga ise hum dos bhi khete hai.

chaliye ab jante hai kaise hotspot banaye laptop me. sabse phele apne laptop me start me search me cmd search kare


ab cmd pe right clik kare 


ab aap run to administrator pe clik kare. clik kerne pe aapse yes or no puchega aap yes ker dijiye ab aapke saamne command prompt khul jayega. niche imege ki trha.


ab aapko kuch commands deni hongi jaise wifi hotspot on kerne ki ,off kerne uski key or name chnge kerne etc.

1- wifi hotspot on kerne ke liye command ( netsh wlan start hostednetwork ) ise aap command prompt me likhe ker enter maarenge to aapke computer ka wifi hotspot start ho jyega.


imege me dekhe ki hosted network start ho gya hai aap apne phone wifi on kerke sarch maar ke dekh sakte hai 


ye dekhiye maine apne phone me wifi sarch kiya to mere laptop ka wifi aane lga shubham name se ye usi name se aata hai jo aapke laptop ka user name ho. or abhi ye secured bhi hai mai aapko aage btaunga ki iski key or name kaise change kare

2-ab aapko ek dusri command dalni hai iska name or key change kerne ke liye kyuki abhi mujhe iski key pta nghi hai to chnge kerni padegi. change kerne ke liye command( netsh wlan set hostednetwork mode=allow ssid=.... key=.......... ) yha  aap ssid me jo dot lage use hta ker jo bhi name dalna chate hai daal de key me bhi dot hta ke jo bhi password rakhna chate hai wo dal de. or enter ker de example ke liye niche di hui imege dekhe 



yha maine ssid me mypcguide dala hai or key me shubham sharma .yaad rhe inme se kinsi me space ni dena hai.ab wifi hotspot ka name or key chnge ho gai hai or ye command daalne ke baad dobara wifi hotspot start kerne wali command dal ker hotspot on kare. ab aap apne mobile me search maar ker dekhe. aap niche imege dekh sakte hai.



 jo maine change kiya tha wo wifi search kerne pe wo hi aa rha hai. ab aapko aapke laptop ke wifi hotspot ki key to pta chal gai jo aapne hi daali hai or user name bhi change ker diya. ye aapko humesa nhi kerna hai kable ye humne pheli baar isliye kiya kyuki hume laptop ke wifi ki key nhi pta thi. ye aapko humesa ni kerna hoga jb aapko key ya name change kerna ho tabhi kre.

aapne wifi hotspot on kerna or name or key change kerna to sikh liya ab mai aage btata hu ki wifi hotspot band kaise kare.

3-wifi band kerne ki command ( netsh wlan stop hostednetwork ) bas aapko ye command command prompt me daal ker enter kerna wifi hotspot band ho jyega. niche imege dekhe



bas ho gya aapka wifi hotspot band.

4-or agar aap dekhna chate hai ki aapka wifi ka status kya . matlabon h ya off uske liye command hai ( netsh wlan show hostednetwork ) bs ise daal ker enter ker dijiye aapko hotspot ka status show ho jyega niche imege dekhe



bus aapko ye 4 command yaad rakhna hai mai ek baar fir likh deta hu
1-netsh wlan start hostednetwork
2-netsh wlan stop hostednetwork
3-netsh wlan show hostednetwork
4-netsh wlan set hostednetwork mode=allow ssid=.... key=..........


agar aapko jankari achi lge to comment jarur kare. or koi prob ho to wo bhi comment me puch sakte hai : )